Akber tujhe kasam hai waapas zaroor aana
Ek baar aake apni madar ko dekh jaana
Maa jaanti hai beta marne ko jaa raha hai
Aur baap keh raha aansu nahi bahana
Akber tuje kasam hai waapas zaroor aana
Zainab nai tujhko beta atthara saal paala
Woh chaahti hai akber, Dulha tujhe banana
Akber tujhe kasam hai waapas zaroor aana
Qatil badha jo aage, Kehne lagi jawani
Hum shakl-e-Mustafa hai, Barchi nahi lagana
Akber tujhe kasam hai waapas zaroor aana
Daude hussain fauran, thame hue jigar ko
Kehte hue ye beta, Mushkil hai mera aana
Akber tujhe kasam hai waapas zaroor aana
Ponche khareeb jis dam gir gir pade zameen par
Aandhair tha nazar mai, Shabbir ko zamana
Akber tujhe kasam hai waapas zaroor aana
Sheh se na uth saki jab, kadyal jawan ki mayyit
bachoon ke saath milkar, laasha pada uthana
Akber tujhe kasam hai waapas zaroor aana
Laasha ko rakhkar bole, Laila se ye sheh-e-deen
BĂȘte ki aake apni, Mannat zara badhana
Akber tujhe kasam hai waapas zaroor aana
Ek baar aake apni maadar ko dekh jaana
Youtube link to salaam - http://www.youtube.com/watch?v=Ur56glaOXm8
Youtube link to salaam - http://www.youtube.com/watch?v=Ur56glaOXm8
No comments:
Post a Comment